Farooq Anjum

jab bhi mila wo TuT ke humse mila to hai

Farooq Anjum

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1943
jab bhī milā vo TuuT ke ham se milā to hai
zāhir hai is ḳhulūs meñ kuchh mudda.ā to hai
us ko nayā mizāj nayā zehn chāhiye
bachcha zabāñ chalātā nahīñ sochtā to hai
kyā munsifī hai aap kī ḳhud dekh lījiye
insāf-e-shahr shahr-e-tamāshā banā to hai
dhabbe lahū ke ham ko batā deñge rāsta
shāyad kisī ke paañv meñ kāñTā chubhā to hai
manzil kī justujū meñ akele nahīñ haiñ ham
hamrāh to nahīñ hai tirā naqsh-e-pā to hai
go amn ho gayā hai vahāñ qatl-o-ḳhūñ ke ba.ad
darvāza sāzishoñ kā abhī tak khulā to hai
tahzīb ke libāde meñ sab be-libās haiñ
'anjum' tire badan pe darīda qabā to hai
Top Urdushayar.com