Zaheer Kashmiri

hain bazm-e-gul mein bapa nauha-KHwaniyan kya kya

Zaheer Kashmiri

Amritsar, Punjab, India

1919-1994
haiñ bazm-e-gul meñ bapā nauha-ḳhvāniyāñ kyā kyā
bahār chhoḌ ga.ī hai nishāniyāñ kyā kyā
tamām umr gul-o-mul ke darmiyāñ guzrī
tamām umr rahīñ sar-girāniyāñ kyā kyā
vo shaḳhs-e-itr-badan jab bhī sāmne aayā
dil-o-nazar pe huiiñ gul-o-fashāniyāñ kyā kyā
ḳhabar na thī yahī vaj.h-e-sukūn-e-jāñ hogī
nigāh-e-yār se thiiñ bad-gumāniyāñ kyā kyā
Tapak ke aañkh se tūfāñ uThā diye jis ne
is ek ashk meñ thiiñ be-karāniyāñ kyā kyā
huzūr-e-yār se jab izn-e-guftugū na milā
suḳhan-tarāz huiiñ be-zabāniyāñ kyā kyā
har ek dard ko darmāñ banā diyā us ne
jafā ke bhes meñ thiiñ mehrbāniyāñ kyā kyā
vo husn aaj bhī hīla-garī meñ yaktā hai
dil-e-ġharīb sunegā kahāniyāñ kyā kyā
us ik jamāl-e-gurezāñ kī justujū meñ 'zahīr'
ḳharāb-o-ḳhvār huī haiñ javāniyāñ kyā kyā
Top Urdushayar.com