phuul hoñToñ ko ġhazal-ḳhvāñ dekhnā
mujh ko bahkāne ke sāmāñ dekhnā
dekhnā dil ke dar o dīvār par
chāñd chehroñ kā charāġhāñ dekhnā
ġhul-laboñ se kī hai maiñ ne guftugū
mere hoñToñ par gulistāñ dekhnā
zulf lahrā ke mire dil meñ zarā
ḳhvāhishoñ kā ek tūfāñ dekhnā
us ko pā lenā to phir merī tarah
ḳhud ko ḳhud apnā hī ḳhvāhāñ dekhnā
jalte rahnā us ke ġham kī aañch par
dard ban jā.egā darmāñ dekhnā
tujh ko jab chāhā to 'bismil' ban gayā
kitnā daanā hai ye nādāñ dekhnā