Raheemullah Shad

mohabbat mein KHushi bhi kahkashan malum hoti hai

Raheemullah Shad

mohabbat meñ ḳhushī bhī kahkashāñ ma.alūm hotī hai
ye hastī ab hameñ lutf-e-jahāñ ma.alūm hotī hai
hai guzrī kyā se kyā ishq-o-mohabbat ke tanāzur meñ
mohabbat ḳhārij-az-sūd-o-ziyāñ ma.alūm hotī hai
ham is duniyā meñ rah kar āḳhirat kī baat karte haiñ
hameñ to ye zamīñ ab āsmāñ ma.alūm hotī hai
ye hai ab shā.irī majzūb kī sun lo zarā yaaro
faqīrī bhī nishān-e-imtihāñ ma.alūm hotī
hai un kā mo.ajiza ye rahmatullilālamīñ honā
ye duniyā raunaq-e-kaun-o-makāñ ma.alūm hotī hai
talātum-ḳhez dariyā aur ye sāhil se nazzāra
har ik mauj-e-talātum be-karāñ ma.alūm hotī hai
ḳhudā ne azmat-e-insāiyat baḳhshī unheñ ai 'shād'
tasavvuf meñ ḳhudī ab shādmāñ ma.alūm hotī hai
Top Urdushayar.com