Ummeed Fazli

hum tera ahd-e-mohabbat Thahre

Ummeed Fazli

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1923-2005
ham tirā ahd-e-mohabbat Thahre
lauh-e-nisyāñ kī jasārat Thahre
dil lahū kar ke ye qismat Thahre
sañg fankār kī ujrat Thahre
maqtal-e-jāñ kī zarūrat Thahre
ham ki shāyān-e-mohabbat Thahre
kyā qayāmat hai vo qātil mujh meñ
mere ehsās kī sūrat Thahre
vaqt ke dajla-e-tūfānī meñ
aap ham mauja-e-ujlat Thahre
dostī ye hai ki ḳhushbū ke liye
rañg zindānī-e-sūrat Thahre
tū hai ḳhurshīd na maiñ huuñ shabnam
kyā mulāqāt kī sūrat Thahre
uf ye guzre hue lamhoñ kā hujūm
dar-o-dīvār qayāmat Thahre
kūcha-gardān-e-junūñ misl-e-sabā
zulf-e-āvāra kī qismat Thahre
ishq meñ manzil ārām bhī thī
ham sar-e-kūcha-e-vahshat Thahre
jab se 'ummīd' gayā hai koī!!
lamhe sadiyoñ kī alāmat Thahre
Top Urdushayar.com