zehn-o-dil meñ kuchh na kuchh rishta bhī thā
ai mohabbat maiñ kabhī yakjā bhī thā
mujh meñ ik mausam kabhī aisā na thā
aisā mausam jis meñ tū mahkā bhī thā
tujh se milne kis tarah ham aa.e haiñ
rāste meñ ḳhuun kā dariyā bhī thā
kaj-kulāhoñ par kahāñ mumkin sitam
haañ magar us ne mujhe chāhā bhī thā
aaj ḳhud sāya-talab hai vaqt se
ye vahī ghar hai ki jo saaya bhī thā
jaane kis sahrā-e-ġham meñ kho gayā
haa.e vo aañsū ki jo dariyā bhī thā