kab tak is pyaas ke sahrā meñ jhulaste jaa.eñ
ab ye bādal jo uThe haiñ to baraste jaa.eñ
kaun batlā.e tumheñ kaise vo mausam haiñ ki jo
mujh se hī duur raheñ mujh meñ hī baste jaa.eñ
ham se āzād-mizājoñ pe ye uftād hai kyā
chāhte jaa.eñ use ḳhud ko taraste jaa.eñ
haa.e kyā log ye ābād hue haiñ mujh meñ
pyaar ke lafz likheñ lahje se Daste jaa.eñ
aa.ina dekhūñ to ik chehre ke be-rañg nuqūsh
ek nādīda sī zanjīr meñ kaste jaa.eñ
juz mohabbat kise aayā hai mayassar 'ummīd'
aisā lamha ki jidhar sadiyoñ ke raste jaa.eñ