naaz kar naaz ki ye naaz judā hai sab se
merā lahja mirī āvāz judā hai sab se
juz mohabbat kise ma.alūm ki vo chashm-e-hayā
baat to kartī hai andāz judā hai sab se
jis ko bhī maar diyā zinda-e-jāved kiyā
harf-e-haq terā ye e.ajāz judā hai sab se
dekhnā kaun hai kyā us ko nahīñ jān-e-azīz
sar-e-darbār ik āvāz judā hai sab se
TuuT jaatā hai to sur aur bhī lau dete haiñ
dil jise kahte haiñ vo saaz judā hai sab se
soch kar daam bichhānā zarā ai mauj-e-havā
mere inkār kī parvāz judā hai sab se
nashsha-e-dahr-o-qayāmat kā to kyā zikr 'umīd'
vo mirā sarv-e-sar-afrāz judā hai sab se