maqtal-e-jāñ se ki zindāñ se ki ghar se nikle
ham to ḳhushbū kī tarah nikle jidhar se nikle
gar qayāmat ye nahīñ hai to qayāmat kyā hai
shahr jaltā rahā aur log na ghar se nikle
jaane vo kaun sī manzil thī mohabbat kī jahāñ
mere aañsū bhī tire dīda-e-tar se nikle
dar-ba-darī kā hameñ ta.ana na de ai chashm-e-ġhazāl
dekh vo ḳhvāb ki jis ke liye ghar se nikle
merā rahzan huā kyā kyā na pashemān ki jab
is ke naame mere asbāb-e-safar se nikle
bar-sar-e-dosh rahe yā sar-e-neza yā-rab
haq-parastī kā na saudā kabhī sar se nikle