ā.īna-e-vahshat ko jilā jis se milī hai
vo gard rah-e-tark-e-marāsim se uThī hai
sadiyoñ ke tasalsul meñ kahīñ gardish-e-daurāñ
pahle bhī kahīñ tujh se mulāqāt huī hai
ai karb-o-balā ḳhush ho na.ī nasl ne ab ke
ḳhud apne lahū se tirī tārīḳh likhī hai
us kaj-kulah-e-ishq ko ai mashq-e-sitam dekh
sar tan pe nahīñ phir bhī vahī sarv-qadī hai
kis raah se tujh tak ho rasā.ī ki har ik samt
duniyā kisī dīvār ke mānind khaḌī hai
zindāñ kī fasīleñ hoñ ki maqtal kī fazā.eñ
raftār-e-junūñ bhī kahīñ roke se rukī hai
jis ruup meñ jab chāhe jise Dhaal de 'ummīd'
duniyā bhī ajab kār-gah-e-kūza-garī hai