kisī se aur to kyā guftugū kareñ dil kī
ki raat sun na sake ham bhī dhaḌkaneñ dil kī
magar ye baat ḳhirad kī samajh meñ aa na sakī
visāl-o-hijr se aage haiñ manzileñ dil kī
jilau meñ ḳhvāb-numā rat-jage sajā.e hue
kahāñ kahāñ liye phirtī haiñ vahshateñ dil kī
nigāh milte hī rañg-e-hayā kī sūrat haiñ
chhalak uThīñ tire ruḳh se latāfateñ dil kī
nigāh-e-kam bhī use sañg se ziyāda hai
ki aa.ine se sivā haiñ nazākateñ dil kī
dayār-e-harf-o-navā meñ koī to aisā ho
kabhī kisī se to ham baat kar sakeñ dil kī
sar-e-jarīda-e-hastī hamāre baad 'umīd'
lahū se kaun likhegā ibārateñ dil kī