Ummeed Fazli

ai dil-e-KHud-na-shanas aisa bhi kya

Ummeed Fazli

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1923-2005
ai dil-e-ḳhud-nā-shanās aisā bhī kyā
ā.īna aur is qadar andhā bhī kyā
us ko dekhā bhī magar dekhā bhī kyā
arsa-e-ḳhvāhish meñ ik lamha bhī kyā
dard kā rishta bhī hai tujh se bahut
aur phir ye dard kā rishta bhī kiyā
zindagī ḳhud laakh zahroñ kā thī zahr
zahr-e-ġham tujh se mirā hotā bhī kyā
pūchhtā hai rāh-rau se ye sarāb
tishnagī kā naam hai dariyā bhī kyā
khīñchtī hai aql jab koī hisār
dhuup kahtī hai ki ye saaya bhī kyā
uf ye lau detī huī tanhā.iyāñ
shahr meñ ābād hai sahrā bhī kyā
ḳhud use darkār thī merī nazar
ḳhud-numā jalva mujhe detā bhī kyā
raqs karnā har na.e jhoñke ke saath
barg-e-āvāra hai ye duniyā bhī kyā
ḳhanda-zan ġham par ḳhushī par ashk-bār
in dinoñ yaaro hai rañg apnā bhī kyā
be-tab-o-tāb-e-shuā-e-āgahī
ishq kahiye jis ko vo sho.ala bhī kyā
gaahe gaahe pyaar kī bhī ik nazar
ham se rūThe hī raho aisā bhī kyā
ai mirī taḳhlīq-e-fan tere baġhair
maiñ ki sab kuchh thā magar maiñ thā bhī kyā
naġhma-e-jāñ ko girāñ-goshoñ ke paas
nā-rasā.ī ke sivā miltā bhī kyā
Top Urdushayar.com