Ummeed Fazli

wo KHwab hi sahi pesh-e-nazar to ab bhi hai

Ummeed Fazli

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1923-2005
vo ḳhvāb hī sahī pesh-e-nazar to ab bhī hai
bichhaḌne vaalā sharīk-e-safar to ab bhī hai
zabāñ burīda sahī maiñ ḳhizāñ-gazīda sahī
harā-bharā mirā zaḳhm-e-hunar to ab bhī hai
sunā thā ham ne ki mausam badal ga.e haiñ magar
zamīñ se fāsla-e-abr-e-tar to ab bhī hai
hamārī dar-badarī par na jā.iye ki hameñ
shu.ūr-e-sāya-e-dīvār-o-dar to ab bhī hai
havas ke daur meñ mamnūn-e-yād-e-yār haiñ ham
ki yād-e-yār diloñ kī sipar to ab bhī hai
kahāniyāñ haiñ agar mo'tabar to phir ik shaḳhs
kahāniyoñ kī tarah mo'tabar to ab bhī hai
hazār khīñch le sūraj hisār-e-abr magar
kiran kiran pe giraft-e-nazar to ab bhī hai
samundaroñ se zamīnoñ ko ḳhauf kyā ki umiid
numū-pazīr zamīn-e-hunar to ab bhī hai
magar ye kaun badaltī huī rutoñ se kahe
shajar meñ saaya nahīñ hai shajar to ab bhī hai
Top Urdushayar.com