shab-e-ġham yaad un kī aa rahī hai
charāġh-e-dil kī lau tharrā rahī hai
bayān-e-dost nāseh kī zabāñ se
tabī.at aur machlī jā rahī hai
kahāñ naqsh-e-kaf-e-pā DhūñDte ho
sadā-e-pā to dil se aa rahī hai
baḌe dil-kash haiñ duniyā ke ḳham o pech
nazar meñ zulf sī lahrā rahī hai
huī muddat ki dil ātish-zada thā
fuġhāñ se aaj tak aañch aa rahī hai
shab-e-va.ada ḳhayāloñ ke ufuq par
gurezāñ sī ziyā tharrā rahī hai
mohabbat ko kahāñ tāb-e-nazāra
javānī aap hī sharmā rahī hai
sukūt-e-shām kī pahnā.iyoñ se
sadā us ajnabī kī aa rahī hai