ik aisā marhala-e-rah-guzar bhī aatā hai
koī fasīl-e-anā se utar bhī aatā hai
tirī talāsh meñ jaane kahāñ bhaTak jā.ūñ
safar meñ dasht bhī aatā hai ghar bhī aatā hai
talāsh saa.e kī laa.ī jo dasht se to khulā
azāb-e-sūrat-e-dīvār-o-dar bhī aatā hai
sakūñ to jab ho ki maiñ chhāñv sehn meñ dekhūñ
nazar to vaise galī kā shajar bhī aatā hai
badan kī ḳhaak sameTe hue ho kyā logo
safar meñ lamha-e-tark-e-safar bhī aatā hai
diloñ ko zaḳhm na do harf-e-nā-mulā.em se
ye tiir vo hai ki jo lauT kar bhī aatā hai
maiñ shahr meñ kise ilzām-e-nā-shanāsī duuñ
ye harf ḳhud mire kirdār par bhī aatā hai
nazar ye kis se milī nā-gahāñ ki yaad aayā
isī galī meñ kahīñ merā ghar bhī aatā hai
havā ke ruḳh pe nazar tā.irān-e-ḳhush-parvāz
qafas kā saaya pas-e-bāl-o-par bhī aatā hai
maiñ harf harf meñ utrā huuñ raushnī kī tarah
so kā.enāt kā chehra nazar bhī aatā hai
lahū se harf tarāsheñ jo merī tarah ummīd
unhīñ ke hisse meñ zaḳhm-e-hunar bhī aatā hai