Ummeed Fazli

tum ho jo kuchh kahan chhupaoge

Ummeed Fazli

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1923-2005
tum ho jo kuchh kahāñ chhupāoge
likhne vaalo nazar to aaoge
jab kisī ko qarīb pāoge
zā.iqa apnā bhuul jāoge
aa.ina hairatoñ kā ḳhvāb nahīñ
ḳhud se aage bhī ḳhud ko pāoge
ye harārat lahū meñ kai din kī
ḳhud-ba-ḳhud us ko bhuul jāoge
āñdhiyāñ roz mujh se pūchhtī haiñ
ghar meñ kis din diyā jalāo.ge
saaya roke hue hai raah safar
tum ye dīvār kab girāoge
ab jo aa.e bhī tum to kyā hogā
ḳhud dikhoge mujhe dikhāoge
yahī hogā ki tum dar-e-jāñ par
dastakeñ de ke lauT jāoge
vo jo ik shaḳhs mujh meñ zinda thā
us ko zinda kahāñ se lāoge
aise mausam guzar ga.e haiñ ki ab
mujh ko bhī mujh sā tum na pāoge
jo lahū meñ diye jalātī thiiñ
aisī shāmeñ kahāñ se lāoge
ḳhvāhishoñ ke hisār meñ ghir kar
rāsta ghar kā bhuul jāoge
Top Urdushayar.com