hijāb uTThe haiñ lekin vo rū-ba-rū to nahīñ
sharīk-e-ishq kahīñ koī aarzū to nahīñ
ye ḳhud-e-farebi-e-ehsās-e-ārzū to nahīñ
tirī talāsh kahīñ apnī justujū to nahīñ
sukūt vo bhī musalsal sukūt kyā ma.anī
kahīñ yahī tirā andāz-e-guftugū to nahīñ
unheñ bhī kar diyā betāb-e-ārzū kis ne
mirī nigāh-e-mohabbat kahīñ ye tū to nahīñ
kahāñ ye ishq kā aalam kahāñ vo husn-e-tamām
ye sochtā huuñ ki maiñ apne rū-ba-rū to nahīñ
nigāh-e-shauq se ġhāfil samajh na jalvaoñ ko
sharāb kuchh bhī ho be-gāna-e-subū to nahīñ
ḳhushī se tark-e-mohabbat kā ahd le ai dost
magar ye dekh tirā dil lahū lahū to nahīñ
na gard-e-rāh hai ruḳh par na aañkh meñ aañsū
ye justujū bhī sahī us kī justujū to nahīñ
chaman meñ rakhte haiñ kāñTe bhī ik maqām ai dost
faqat guloñ se hī gulshan kī aabrū to nahīñ