kuchh bas na chalā jazba-e-ḳhud-kām ke aage
jhuknā hī paḌā us but-e-badnām ke aage
ik aur bhī hasrat hai pas-e-hasrat-e-dīdār
ik aur bhī āġhāz hai anjām ke aage
aa aur idhar koī tajallī kī kiran pheñk
baiThe haiñ gadā tere dar-o-bām ke aage
ye ishq hai bāzīcha-e-atfāl nahīñ hai
kuchh aur bhī hai kūcha-e-asnām ke aage
yuuñ un kī jafāoñ se milī ham ko basīrat
ham jhuk na sake gardish-e-ayyām ke aage
din Dhalne lagā dil-zadagāñ dil kī ḳhabar lo
ik silsila-e-hijr bhī hai shaam ke aage
ab kuchh bhī nahīñ hāsil-e-tadbīr-e-mohabbat
ab kuchh bhī nahīñ nāma-o-paiġhām ke aage
ik sehr sā taarī thā 'zahīr' ahl-e-ḳhirad par
the mohr-ba-lab husn-e-dil-ārām ke aage