muḳhtasar sī vo mulāqāt bahut achchhī thī
chand lafzoñ meñ Dhalī baat bahut achchhī thī
lamha lamha kisī ummīd pe jab guzrā thā
din bahut ḳhuub thā vo raat bahut achchhī thī
be-qarārī hī meñ jab dil ko qarār aatā thā
haa.e vo shiddat-e-jazbāt bahut achchhī thī
husn ke rañg the har pahlū numāyāñ jis meñ
apnī tasvīr-e-ḳhayālāt bahut achchhī thī
āñkheñ bhar aa.ī thiiñ milte yā bichhaḌte un se
donoñ vaqtoñ kī vo barsāt bahut achchhī thī
chāhnā bhī unheñ aur muñh se na kuchh bhī kahnā
dil kī ḳhāmosh munājāt bahut achchhī thī
lab pe aa jaatī to kuchh aur bhī achchhā thā 'rishī'
aap ke dil meñ jo thī baat bahut achchhī thī