Akhtar Saeed Khan

nigahen muntazir hain kis ki dil ko justuju kya hai

Akhtar Saeed Khan

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1923-2006
nigāheñ muntazir haiñ kis kī dil ko justujū kyā hai
mujhe ḳhud bhī nahīñ ma.alūm merī aarzū kyā hai
badaltī jā rahī hai karvaToñ par karvaTeñ duniyā
kisī sūrat nahīñ khultā jahān-e-rañg-o-bū kyā hai
ye sochā dil ko nazr-e-ārzū karte hue ham ne
nigāh-e-husn-e-ḳhud-ārā meñ dil kī aabrū kyā hai
mujhe ab dekhtī hai zindagī yuuñ be-niyāzāna
ki jaise pūchhtī ho kaun ho tum justujū kyā hai
huā kartī hai dil se guftugū be-ḳhvāb rātoñ meñ
magar khultā nahīñ mujh par ki 'aḳhtar' guftugū kyā hai
maiñ in āñkhoñ ko kyā samjhūñ ki apnī ḳhāna-vīrānī
jinheñ ye bhī nahīñ ma.alūm ḳhūn-e-ārzū kyā hai
kiran sūraj kī kahtī hai phir aa.egī shab-e-hijrāñ
sahar hotī hai 'aḳhtar' so raho ye hāv-hū kyā hai
Top Urdushayar.com