sun rahā huuñ be-sadā naġhma jo maiñ bā-chashm-e-tar
chupke chupke zindagī hañstī hai mere haal par
apnī saarī umr kho kar maiñ ne paayā hai tumheñ
aao mere ġham ke sannāTo mire nazdīk-tar
ek dil thā so huā hai pā.emāl-e-ārzū
ab na koī rahnumā hai aur na koī ham-safar
har qadam par pūchhtā huuñ paañv ke chhāloñ se maiñ
ye mirī manzil hai yā baaqī hai merī rahguzar
kaun hai ye jo mire dil meñ hai ab tak mahv-e-ḳhvāb
DhūñDte haiñ ek muddat se jise shām-o-sahar
band haiñ vāraftagān-e-husn par sab rāste
tere dar se maiñ agar uTThūñ to jā.ūñgā kidhar
jal rahā hai ātish-e-furqat meñ lekin zinda hai
kyuuñ liye baiThā hai ye ilzām 'aḳhtar' apne sar