Akhtar Saeed Khan

maal-e-gardish-e-lail-o-nahaar kuchh bhi nahin

Akhtar Saeed Khan

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1923-2006
ma.āl-e-gardish-e-lail-o-nahār kuchh bhī nahīñ
hazār naqsh haiñ aur āshkār kuchh bhī nahīñ
har ek moḌ pe duniyā ko ham ne dekh liyā
sivā.e kashmakash-e-rozgār kuchh bhī nahīñ
nishān-e-rāh mile bhī yahāñ to kaise mile
sivā.e ḳhāk-e-sar-e-rahguzār kuchh bhī nahīñ
bahut qarīb rahī hai ye zindagī ham se
bahut aziiz sahī e'tibār kuchh bhī nahīñ
na ban paḌā ki garebāñ ke chaak sī lete
shu.ūr ho ki junūñ iḳhtiyār kuchh bhī nahīñ
khile jo phuul vo dast-e-ḳhizāñ ne chhīn liye
nasīb-e-dāman-e-fasl-e-bahār kuchh bhī nahīñ
zamāna ishq ke māroñ ko maat kyā degā
diloñ ke khel meñ ye jiit haar kuchh bhī nahīñ
ye merā shahr hai maiñ kaise maan luuñ 'aḳhtar'
na rasm-o-rāh na vo kū-e-yār kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com