kabhī zabāñ pe na aayā ki aarzū kyā hai
ġharīb dil pe ajab hasratoñ kā saayā hai
sabā ne jāgtī āñkhoñ ko chuum chuum liyā
na jaane āḳhir-e-shab intizār kis kā hai
ye kis kī jalvagarī kā.enāt hai merī
ki ḳhaak ho ke bhī dil shola-e-tamannā hai
tirī nazar kī bahār-āfrīniyāñ taslīm
magar ye dil meñ jo kāñTā sā ik khaTaktā hai
jahān-e-fikr-o-nazar kī uḌā rahī hai hañsī
ye zindagī jo sar-e-rahguzar tamāshā hai
ye dasht vo hai jahāñ rāsta nahīñ miltā
abhī se lauT chalo ghar abhī ujālā hai
yahī rahā hai bas ik dil ke ġham-gusāroñ meñ
Thahar Thahar ke jo aañsū palak tak aatā hai
Thahar ga.e ye kahāñ aa ke roz o shab 'aḳhtar'
ki āftāb hai sar par magar añdherā hai