āñkhoñ meñ jo ek ḳhvāb sā hai
aalam kyā kyā dikhā rahā hai
aalam ik intizār kā hai
khultā nahīñ intizār kyā hai
qatra qatra jo pī chukā hai
dariyā dariyā pukārtā hai
kyā kah ga.ī zindagī kī aahaT
jo hai kisī soch meñ khaḌā hai
ai mauj-e-nasīm-e-sub.h-gāhī
har ġhunche kā dil dhaḌak rahā hai
tum aur zarā qarīb aa jaao
ḳhanjar rag-e-jāñ tak aa gayā hai
hai dīdanī rañg-e-rū-e-qātil
har zaḳhm javāb māñgtā hai
ai dasht-e-junūñ gavāh rahnā
kāñTe haiñ aur ik barahna-pā hai
āsār achchhe nahīñ shab-e-hijr
dil ko kuchh qarār sā hai
lafzoñ ko zabān mil rahī hai
shāyad 'aḳhtar' ġhazal-sarā hai