dīdanī hai zaḳhm-e-dil aur aap se parda bhī kyā
ik zarā nazdīk aa kar dekhiye aisā bhī kyā
ham bhī nā-vāqif nahīñ ādāb-e-mahfil se magar
chīḳh uTheñ ḳhāmoshiyāñ tak aisā sannāTā bhī kyā
ḳhud hamīñ jab dast-e-qātil ko duā dete rahe
phir koī apnī sitamgārī pe sharmātā bhī kyā
jitne ā.īne the sab TuuTe hue the sāmne
shīshagar bātoñ se apnī ham ko bahlātā bhī kyā
ham ne saarī zindagī ik aarzū meñ kaaT dī
farz kiije kuchh nahīñ khoyā magar paayā bhī kyā
be-mahābā tujh se aksar sāmnā hotā rahā
zindagī tū ne mujhe dekhā na ho aisā bhī kyā
be-talab ik justujū sī be-sabab ik intizār
umr-e-be-pāyāñ kā itnā muḳhtasar qissa bhī kyā
ġhair se bhī jab milā 'aḳhtar' to hañs kar hī milā
aadmī achchhā ho lekin is qadar achchhā bhī kyā