dil-e-shorīda kī vahshat nahīñ dekhī jaatī
roz ik sar pe qayāmat nahīñ dekhī jaatī
ab un āñkhoñ meñ vo aglī sī nidāmat bhī nahīñ
ab dil-e-zār kī hālat nahīñ dekhī jaatī
band kar de koī maazī kā darīcha mujh par
ab is ā.īne meñ sūrat nahīñ dekhī jaatī
aap kī ranjish-e-bejā hī bahut hai mujh ko
dil pe har taaza musībat nahīñ dekhī jaatī
tū kahānī hī ke parde meñ bhalī lagtī hai
zindagī terī haqīqat nahīñ dekhī jaatī
lafz us shoḳh kā muñh dekh ke rah jaate haiñ
lab-e-iz.hār kī hasrat nahīñ dekhī jaatī
dushman-e-jāñ hī sahī saath to ik umr kā hai
dil se ab dard kī ruḳhsat nahīñ dekhī jaatī
dekhā jaatā hai yahāñ hausla-e-qata-e-safar
nafas-e-chand kī mohlat nahīñ dekhī jaatī
dekhiye jab bhī mizha par hai ik aañsū 'aḳhtar'
dīda-e-tar kī rifāqat nahīñ dekhī jaatī