yaad aa.eñ jo ayyām-e-bahārāñ to kidhar jaa.eñ
ye to koī chāra nahīñ sar phoḌ ke mar jaa.eñ
qadmoñ ke nishāñ haiñ na koī miil kā patthar
is raah se ab jin ko guzarnā hai guzar jaa.eñ
rasmeñ hī badal dī haiñ zamāne ne diloñ kī
kis vaz.a se us bazm meñ ai dīda-e-tar jaa.eñ
jaañ dene ke daave hoñ ki paimān-e-vafā ho
jī meñ to ye aatā hai ki ab ham bhī mukar jaa.eñ
har mauj gale lag ke ye kahtī hai Thahar jaao
dariyā kā ishāra hai ki ham paar utar jaa.eñ
shīshe se bhī nāzuk haiñ inheñ chhū ke na dekho
aisā na ho āñkhoñ ke hasīñ ḳhvāb bikhar jaa.eñ
tārīk hue jaate haiñ baḌhte hue saa.e
'aḳhtar' se kaho shaam huī aap bhī ghar jaa.eñ