phirtī hai zindagī janāza-ba-dosh
but bhī chup haiñ ḳhudā bhī hai ḳhāmosh
koī merī tarah jiye to sahī
zindagī dar-gulū ajal bar-dosh
dīdanī thī ye kā.enāt bahut
ham bhī kuchh din rahe ḳharāb-e-hosh
ghar se tauf-e-haram ko niklā thā
raah meñ thī dukān-e-bāda-farosh
ik ta.alluq qadam ko raah se hai
maiñ na āvāra huuñ na ḳhāna-ba-dosh
ham se ġhāfil nahīñ haiñ ahl-e-sitam
ik zarā thak ke ho ga.e haiñ ḳhamosh
jī meñ hai koī aarzū kiije
ya.anī baaqī hai sar meñ mastī hosh
hai ye duniyā bahut vasī.a to ho
maiñ huuñ aur terā halqa-e-āġhosh
dil ko rote kahāñ talak 'aḳhtar'
āḳhir-kār ho ga.e ḳhāmosh