mauj-e-shamīm haiñ na ḳhirām-e-sabā haiñ ham
Thahrī huī guloñ ke laboñ par duā haiñ ham
begāna ḳhalq se haiñ na tujh se ḳhafā haiñ ham
ai zindagī muaaf ki dair-āshnā haiñ ham
is raaz ko bhī faash kar ai chashm-e-dil-navāz
kāñTā khaTak rahā hai ye dil meñ ki kyā haiñ ham
yārab tirā kamāl-e-hunar ham pe ḳhatm hai
yā sirf mashq-e-nāz kā ik tajraba haiñ ham
āḳhir tire sulūk ne jhuTlā diyā ise
ik zo.am thā hamīñ ki sarāpā vafā haiñ ham
kal is zamīñ pe utreñge phūloñ ke qāfile
ik paikar-e-bahār kī āvāz-e-pā haiñ ham