Akhtar Saeed Khan

tum ho ya chheDti hai yaad-e-sahar koi to hai

Akhtar Saeed Khan

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1923-2006
tum ho yā chheḌtī hai yād-e-sahar koī to hai
khaTkhaTātā hai jo ye ḳhvāb kā dar koī to hai
dil pe paḌtī huī duzdīda-nazar koī to hai
jis taraf dekh rahā huuñ maiñ udhar koī to hai
aise nādāñ nahīñ rātoñ meñ bhaTakne vaale
jāgtī āñkhoñ meñ ḳhurshīd-e-sahar koī to hai
ḳhud-baḳhud haath garebāñ kī taraf uThte haiñ
sarsarātī sī havāoñ meñ ḳhabar koī to hai
kis kā muñh dekh rahī hai safar-āmāda hayāt
sū-e-maqtal hī sahī rāhguzar koī to hai
tū mujhe dekh mire paañv ke chhāloñ pe na jā
zindagī tere liye ḳhāk-basar koī to hai
din kaTā saarā ḳharāboñ meñ bhaTakte 'aḳhtar'
shaam hotī hai chalo ḳhair se ghar koī to hai
Top Urdushayar.com