sair-gāh-e-duniyā kā hāsil-e-tamāshā kyā
rañg-o-nik.hat-e-gul par apnā thā ijārā kyā
khel hai mohabbat meñ jaan o dil kā saudā kyā
dekhiye dikhātī hai ab ye zindagī kyā kyā
jab bhī jī umaD aayā ro liye ghaḌī bhar ko
āñsuoñ kī bārish se mausamoñ kā rishta kyā
kab sar-e-nazāra thā ham ko bazm-e-ālam kā
yuuñ bhī dekh kar tum ko aur dekhnā thā kyā
dard be-davā apnā baḳht nā-rasā apnā
ai nigāh-e-be-parvā tujh se ham ko shikva kyā
be-savāl āñkhoñ se muñh chhupā rahe ho kyuuñ
merī chashm-e-hairāñ meñ hai koī taqāzā kyā
haal hai na maazī hai vaqt kā tasalsul hai
raat kā añdherā kyā sub.h kā ujālā kyā
jo hai jī meñ kah diije un ke rū-ba-rū 'aḳhtar'
arz-e-hāl kī ḳhātir DhūñDiye bahāna kyā