Zaheer Kashmiri

is daur-e-afiyat mein ye kya ho gaya hamein

Zaheer Kashmiri

Amritsar, Punjab, India

1919-1994
is daur-e-āfiyat meñ ye kyā ho gayā hameñ
patta samajh ke le uḌī vahshī havā hameñ
patthar bane haiñ ijz bayānoñ ke sāmne
taḳhlīq-e-fan kā ḳhuub milā hai silā hameñ
ham ko tulū-e-sub.h-e-bahārāñ kī thī talāsh
is jurm kī sazā hai ye zanjīr-e-pā hameñ
ye daur-e-tez-gām bhī hai un se be-ḳhabar
vo manzileñ jo de ga.iiñ apnā pata hameñ
rāh-e-talab simaT ke qadam chūmne lagī
jab bhī koī harīf-e-safar mil gayā hameñ
zulmat kā daur kuchh bhī sahī satr-posh thā
kab raushnī ne jeb-o-garebāñ diyā hameñ
pas-manzar-e-bahār se ham be-ḳhabar na the
raas aa sakī na ḳhanda-e-gul kī sadā hameñ
ham ko to nazr-e-sail hue umr ho ga.ī
kashtī meñ DhūñDhtā hai magar nāḳhudā hameñ
Top Urdushayar.com