Akhtar Saeed Khan

kaise samjhaun nasim-e-subh tujhko kya hun main

Akhtar Saeed Khan

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1923-2006
kaise samjhā.ūñ nasīm-e-sub.h tujh ko kyā huuñ maiñ
phuul ke saa.e meñ murjhāyā huā pattā huuñ maiñ
ḳhaak kā zarra bhī koī tere dāman meñ na thā
qadr kar ai zindagī TuuTā huā taarā huuñ maiñ
har dhaḌakte dil se an-jānā sā rishta hai mirā
aag dāman meñ kisī ke bhī lage jaltā huuñ maiñ
apnī tārīkī sameTe pūchhtī hai mujh se raat
kaun sī hai sub.h jis ko DhūñDhne niklā huuñ maiñ
mujh ko samjhā.e to koī rāzdār-e-kā.enāt
mujh meñ hai ābād ye duniyā ki ḳhud apnā huuñ maiñ
zindagī TuuTe hue ḳhvāboñ meñ guzrī hai to kyaa!
aaj bhī ik ḳhvāb āñkhoñ meñ liye baiThā huuñ maiñ
samt-e-manzil hī badal jaa.e to merā kyā qusūr
rāstoñ se pūchh kar dekho kahīñ Thahrā huuñ maiñ
der tak hasrat se dekhegī use shām-e-safar
jis zamīñ par naqsh apne chhoḌ kar guzrā huuñ maiñ
chupke chupke raat bhar kahtā hai 'aḳhtar' mujh se dil
bastiyāñ ābād haiñ mujh se magar sahrā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com