Akhtar Saeed Khan

teri jabin pe meri subh ka sitara hai

Akhtar Saeed Khan

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1923-2006
tirī jabīñ pe mirī sub.h kā sitāra hai
tirā vajūd mirī zaat kā ujālā hai
harīf-e-partav-e-mahtāb hai jamāl tirā
kuchh aur lagtā hai dilkash jo duur hotā hai
mire yaqīn kī ma.asūmiyat ko mat Toko
mirī nigāh meñ har naqsh ik tamāshā hai
nazar to aa.e koī raah zindagānī kī
tamām ālam-e-imkāñ ġhubār-e-sahrā hai
na aarzū se khulā hai na justujū se khulā
ye husn-e-rāz jo har shai meñ kār-farmā hai
ġham-e-hayāt rahā hai hamārā gahvāra
ye ham se pūchh dil-e-dard āshnā kyā hai
charāġh le ke use DhūñDne chalā huuñ maiñ
jo āftāb kī mānind ik ujālā hai
jo ham ko bhuul ga.e un ko yaad kyuuñ kiije
tamām raat koī chupke chupke kahtā hai
kahāñ kahāñ liye phirtī hai zindagī ab tak
maiñ us jagah huuñ jahāñ dhuup hai na saaya hai
Top Urdushayar.com