chand uljhī huī sāñsoñ kī atā huuñ kyā huuñ
maiñ charāġh-e-tah-e-dāmān-e-sabā huuñ kyā huuñ
har nafas hai mirā parvarda-e-āġhosh-e-balā
apne nā-karda gunāhoñ kī sazā huuñ kyā huuñ
mujh pe khultā hī nahīñ merā sitam-dīda vajūd
koī patthar huuñ ki gum-karda sadā huuñ kyā huuñ
dil meñ huuñ aur zabāñ par kabhī aatā bhī nahīñ
maiñ koī bholā huā harf-e-duā huuñ kyā huuñ
maiñ safar meñ huuñ magar samt-e-safar koī nahīñ
kyā maiñ ḳhud apnā hī naqsh-e-kaf-e-pā huuñ kyā huuñ
maiñ ne dekhā hī nahīñ jāgtī āñkhoñ se kabhī
koī uqda huuñ ki ḳhud uqda-kushā huuñ kyā huuñ
pūchhtā hai mirā pairāhan-e-hastī mujh se
maiñ qabā huuñ ki faqat band-e-qabā huuñ kyā huuñ
dil kī aur merī zabāñ ek hai phir bhī 'aḳhtar'
lafz o ma.anī kī pur-asrār fazā huuñ kyā huuñ