ye ham se pūchhte ho ranj-e-imtihāñ kyā hai
tumhīñ kaho sila-e-ḳhūn-e-kushtagāñ kyā hai
asīr-e-band-e-ḳhizāñ huuñ na pūchh ai sayyād
ḳhirām kyā hai sabā kyā hai gulsitāñ kyā hai
huī hai umr ki dil ko nazar se rabt nahīñ
magar ye silsila-e-chashm-e-ḳhūñ-fishāñ kyā hai
nazar uThe to na samjhūñ jhuke to kyā samjhūñ
sukūt-e-nāz ye paira-e-bayāñ kyā hai
baheñ na aañkh se aañsū to naġhmagī be-sūd
khileñ na phuul to rañgīni-e-fuġhāñ kyā hai
nigāh-e-yās tire haath hai bharam dil kā
kahīñ vo jaan na leñ ishq kī zabāñ kyā hai
ye aur baat ki ham tum ko bevafā na kaheñ
magar ye jānte haiñ jaur-e-āsmāñ kyā hai
maiñ shikva-sanj nahīñ apnī tīra-baḳhtī kā
magar batāo to ye sub.h-e-zar-fishāñ kyā hai