ik kiran mehr kī zulmāt pe bhārī hogī
raat un kī hai magar sub.h hamārī hogī
ham-safīrān-e-chaman mil ke pukāreñ to zarā
yahīñ ḳhvābīda kahīñ bād-e-bahārī hogī
is taraf bhī koī ḳhushbū se mahaktā jhoñkā
ai sabā tū ne to vo zulf sañvārī hogī
ye jo miltī hai tire ġham se ġham-e-dahr kī shakl
dil ne tasvīr se tasvīr utārī hogī
bū-e-gul aatī hai miTTī se chaman kī jab tak
ham pe dahshat na ḳhizāñ kī kabhī taarī hogī