Zaheer Kashmiri

lauh-e-mazar dekh ke ji dang rah gaya

Zaheer Kashmiri

Amritsar, Punjab, India

1919-1994
lauh-e-mazār dekh ke jī dañg rah gayā
har ek sar ke saath faqat sañg rah gayā
badnām ho ke ishq meñ ham surḳh-rū hue
achchhā huā ki naam gayā nañg rah gayā
hotī na ham ko sāya-e-dīvār kī talāsh
lekin muhīt-e-zīst bahut tañg rah gayā
sīrat na ho to āriz-o-ruḳhsār sab ġhalat
ḳhushbū uḌī to phuul faqat rañg rah gayā
apne gale meñ apnī hī bāñhoñ ko Dāliye
jiine kā ab to ek yahī Dhañg rah gayā
kitne hī inqalāb shikan-dar-shikan mile
aaj apnī shakl dekh ke maiñ dañg rah gayā
taḳh.īl kī hadoñ kā ta.ayyun na ho sakā
lekin muhīt-e-zīst bahut tañg rah gayā
kal kā.enāt-e-fikr se āzād ho ga.ī
insāñ misāl-e-dast-e-tah-e-sañg rah gayā
ham un kī bazm-e-nāz meñ yuuñ chup hue 'zahīr'
jis tarah ghuT ke saaz meñ āhañg rah gayā
Top Urdushayar.com