aaj bhī dasht-e-balā meñ nahr par pahrā rahā
kitnī sadiyoñ baad maiñ aayā magar pyāsā rahā
kyā fazā-e-sub.h-e-ḳhandāñ kyā savād-e-shām-e-ġham
jis taraf dekhā kiyā maiñ der tak hañstā rahā
ik sulagtā āshiyāñ aur bijliyoñ kī anjuman
pūchhtā kis se ki mere ghar meñ kyā thā kyā rahā
zindagī kyā ek sannāTā thā pichhlī raat kā
sham.eñ gul hotī rahīñ dil se dhuāñ uThtā rahā
qāfile phūloñ ke guzre is taraf se bhī magar
dil kā ik gosha jo suunā thā bahut suunā rahā
terī in hañstī huī āñkhoñ se nisbat thī jise
merī palkoñ par vo aañsū umr bhar Thahrā rahā
ab lahū ban kar mirī āñkhoñ se bah jaane ko hai
haañ vahī dil jo harīf-e-joshish-e-dariyā rahā
kis ko fursat thī ki 'aḳhtar' dekhtā merī taraf
maiñ jahāñ jis bazm meñ jab tak rahā tanhā rahā