Akhtar Saeed Khan

safar hi shart-e-safar hai to KHatm kya hoga

Akhtar Saeed Khan

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1923-2006
safar hī shart-e-safar hai to ḳhatm kyā hogā
tumhāre ghar se udhar bhī ye rāsta hogā
zamāna saḳht girāñ ḳhvāb hai magar ai dil
pukār to sahī koī to jāgtā hogā
ye be-sabab nahīñ aa.e haiñ aañkh meñ aañsū
ḳhushī kā lamha koī yaad aa gayā hogā
mirā fasāna har ik dil kā mājrā to na thā
sunā bhī hogā kisī ne to kyā sunā hogā
phir aaj shaam se paikār jaan o tan meñ hai
phir aaj dil ne kisī ko bhulā diyā hogā
vidā kar mujhe ai zindagī gale mil ke
phir aisā dost na tujh se kabhī judā hogā
maiñ ḳhud se duur huā jā rahā huuñ phir 'aḳhtar'
vo phir qarīb se ho kar guzar gayā hogā
Top Urdushayar.com