Akhtar Saeed Khan

dil ki rahen DhunDne jab hum chale

Akhtar Saeed Khan

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1923-2006
dil kī rāheñ DhūñDne jab ham chale
ham se aage dīda-e-pur-nam chale
tez jhoñkā bhī hai dil ko nāgavār
tum se mas ho kar havā kam kam chale
thī kabhī yuuñ qadr-e-dil is bazm meñ
jaise hāthoñ-hāth jām-e-jam chale
haa.e vo aariz aur us par chashm-e-nam
gul pe jaise qatra-e-shabnam chale
āmad-e-sailāb kā vaqfa thā vo
jis ko ye jaanā ki aañsū tham chale
kahte haiñ gardish meñ haiñ saat āsmāñ
az-sar-e-nau qissa-e-ādam chale
khil hī jā.egī kabhī dil kī kalī
phuul barsātā huā mausam chale
be-sutūñ chhat ke tale is dhuup meñ
DhūñDne kis ko ye mere ġham chale
kaun jiine ke liye martā rahe
lo sambhālo apnī duniyā ham chale
kuchh to ho ahl-e-nazar ko pās-e-dard
kuchh to zikr-e-ābrū-e-ġham chale
kuchh adhūre ḳhvāb āñkhoñ meñ liye
ham bhī 'aḳhtar' darham o barham chale
Top Urdushayar.com