Akhtar Saeed Khan

ishq ke TuTe hue rishton ka matam kya karen

Akhtar Saeed Khan

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1923-2006
ishq ke TuuTe hue rishtoñ kā mātam kyā kareñ
zindagī aa tujh se phir ik baar samjhautā kareñ
zindagī kab tak tire darmāndgān-e-ārzū
ḳhvāb dekheñ aur ta.abīroñ ko sharminda kareñ
muḌ ke dekhā aur patthar ke hue is shahr meñ
ḳhud sadā ban jaao āvāzeñ agar pīchhā kareñ
nā-umīdāna bhī jiine kā salīqa hai hameñ
aa.ine TuuTe hue dil meñ sajā kar kyā kareñ
chand zarre dil ke raqsāñ haiñ fazāoñ meñ abhī
laao in zarroñ meñ hashr-e-ārzū barpā kareñ
ḳhūñ-chakāñ āñkhoñ se apnī ḳhush nahīñ ham bhī magar
chaak dāman ho to sī leñ chāk-e-dil ko kyā kareñ
bujh ga.e ek ek kar ke sab aqīdoñ ke charāġh
ai zamāne kī havā ab ye batā ham kyā kareñ
āfiyat dushman thā dil-nā-āqebat-andesh ham
ab kise ilzām deñ 'aḳhtar' kise rusvā kareñ
Top Urdushayar.com