muddat se lāpata hai ḳhudā jaane kyā huā
phirtā thā ek shaḳhs tumheñ pūchhtā huā
vo zindagī thī aap the yā koī ḳhvāb thā
jo kuchh thā ek lamhe ko bas sāmnā huā
ham ne tire baġhair bhī jī kar dikhā diyā
ab ye savāl kyā hai ki phir dil kā kyā huā
so bhī vo tū na dekh sakī ai havā-e-dahr
siine meñ ik charāġh rakhā thā jalā huā
duniyā ko zid numā.ish-e-zaḳhm-e-jigar se thī
fariyād maiñ ne kī na zamāna ḳhafā huā
har anjuman meñ dhyān usī anjuman kā hai
jaagā ho jaise ḳhvāb koī dekhtā huā
shāyad chaman meñ jī na lage lauT aa.uuñ maiñ
sayyād rakh qafas kā abhī dar khulā huā
ye iztirāb-e-shauq hai 'aḳhtar' ki gumrahī
maiñ apne qāfile se huuñ kosoñ baḌhā huā