Akhtar Saeed Khan

tum se chhuT kar zindagi ka naqsh-e-pa milta nahin

Akhtar Saeed Khan

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1923-2006
tum se chhuT kar zindagī kā naqsh-e-pā miltā nahīñ
phir rahā huuñ kū-ba-kū apnā patā miltā nahīñ
maiñ huuñ yā phirtā hai koī aur mere bhes meñ
kis se pūchhūñ koī sūrat-āshnā miltā nahīñ
naqsh-e-hairat hī na thā pursān-e-hāl-e-ġham bhī thā
tum ne jo toḌā hai ab vo ā.īnā miltā nahīñ
nā-umīdī harf-e-tohmat hī sahī kyā kījiye
tum qarīb aate nahīñ ho aur ḳhudā miltā nahīñ
us ke dil se apnā andāz-e-taġhāful pūchhiye
jis ke dil ko dard kā bhī aasrā miltā nahīñ
ik na ik rishta isī duniyā se thā apnā kabhī
sochtā huuñ aur koī silsila miltā nahīñ
koī saa.e kī tarah chaltā hai 'aḳhtar' saath saath
dostdār-e-dil hai lekin barmalā miltā nahīñ
Top Urdushayar.com