marnā azaab thā kabhī jiinā azaab thā
merā mushīr ishq sā ḳhāna-ḳharāb thā
dil mar miTā tilāvat-e-ruḳhsār-e-yār meñ
marhūm tiflagī se hī ahl-e-kitāb thā
sochā to is habīb ko paayā qarīb-e-jāñ
dekhā to āstīñ meñ chhupā āftāb thā
vo bārgāh merī vafā kā javāz thī
is āstāñ kī ḳhaak mirā hī shabāb thā
merī har ek sub.h thī āġhosh-e-dilbarī
merī har ek shaam kā unvāñ sharāb thā
dil bhī sanam-parast nazar bhī sanam-parast
is āshiqī meñ ḳhāna hama āftāb thā
kab is siyāh-baḳht ne chhoḌā kisī kā saath
dasht-e-junūñ meñ saaya mirā ham-rikāb thā
tū kab ma.āl-e-jaur-o-jafā ko samajh sakā
terā jamāl tere liye bhī hijāb thā
jis daur ko faqīh ne isyāñ samajh liyā
us daur meñ to pī ke bahaknā savāb thā
vo husn kis qadar adab-āmoz thā 'zahīr'
qad ḳhāma-e-ravāñ thā to chehra kitāb thā