Zaheer Kashmiri

dil mar chuka hai ab na masiha bana karo

Zaheer Kashmiri

Amritsar, Punjab, India

1919-1994
dil mar chukā hai ab na masīhā banā karo
yā hañs paḌo yā haath uThā kar duā karo
ab husn ke mizāj se vāqif huā huuñ maiñ
ik bhuul thī jo tum se kahā thā vafā karo
dil bhī sanam-parast nazar bhī sanam-parast
kis kī adā saho to kise rahnumā karo
jis se hujūm-e-ġhair meñ hotī haiñ chashmakeñ
us ajnabī nigāh se bhī āshnā karo
ik soz ik dhuāñ hai pas-e-parda-e-jamāl
tum laakh sham-e-bazm-e-raqībāñ banā karo
qaa.em usī kī zaat se hai rabt-e-zindagī
ai dost ehtirām-e-dil-e-mubtalā karo
taqrīb-e-ishq hai ye dam-e-vāpsīñ nahīñ
tum jaao apnā farz-e-taġhāful adā karo
vo bazm se nikāl ke kahte haiñ ai 'zahīr'
jaao magar qarīb-e-rag-e-jāñ rahā karo
Top Urdushayar.com