Zaheer Kashmiri

wo ek jhalak dikha ke jidhar se nikal gaya

Zaheer Kashmiri

Amritsar, Punjab, India

1919-1994
vo ik jhalak dikhā ke jidhar se nikal gayā
itnī tapish baḌhī ki zamāna pighal gayā
ab dil se kuchh kaho to ye dil māntā nahīñ
ai iltifāt-e-yār terā vaar chal gayā
har bazm us nigāh ke girdāb meñ rahī
har daur us mizāj ke sāñche meñ Dhal gayā
ab to junūñ bhī us kī taraf khīñchtā nahīñ
andhā rafīq-e-kār bhī āñkheñ badal gayā
vo duur thā to hijr kī garmī se the niDhāl
vo aa gayā to hijr kā mausam nikal gayā
suune paḌe haiñ dil ke dar-o-bām ai 'zahīr'
lahore jab se chhoḌ ke jān-e-ġhazal gayā
Top Urdushayar.com