har ek shai se mohabbat kī rishta-dārī rakh
ab is ko jañg samajh aur jañg jaarī rakh
na jaane kis ko vo apnā samajh ke apnā leñ
nazar ko dil ko tamannā ko baarī baarī rakh
agar tumhārī hai tanhā to is ko le jaao
agar hai sājhī ye duniyā to sājhedārī rakh
na samjheñ apnā magar ġhair to na samjheñ log
ab apne aap meñ itnī to inkisārī rakh
yahī se ḳhvāb janam leñge phir na.e 'nāzim'
lipaT ke niiñd se āñkhoñ ke paañv bhārī rakh