Nazim Naqvi

main tang-dasti-e-mohlat se itna chahta hun

Nazim Naqvi

maiñ tañg-dastī-e-mohlat se itnā chāhtā huuñ
ḳhud apne aap se ek baar milnā chāhtā huuñ
sivā bharam kahīñ kuchh bhī nahīñ hai to phir bhī
maiñ thoḌī duur tire saath chalnā chāhtā huuñ
maiñ ḳhud pe qahr bhī Dhā.ūñ hifāzateñ bhī karūñ
maiñ is ḳhudā.ī sifat ko baratnā chāhtā huuñ
maiñ chāhtā huuñ sahāroñ ke saath saath rahūñ
maiñ laḌkhaḌā.e binā hī sambhalnā chāhtā huuñ
savāl phir se hai kirdār ko badalne kā
maiñ ab kī baar bhī kapḌe badalnā chāhtā huuñ
har ek show se mohabbat hai is liye mujh ko
maiñ nafratoñ ke tasavvur se bachnā chāhtā huuñ
Top Urdushayar.com