vafā karte use dekhā nahīñ hai
magar vo bevafā lagtā nahīñ hai
dil-e-barbād tujh ko kyā huā hai
sarā.e meñ koī bastā nahīñ hai
use patthar banā detī hai duniyā
jo dariyā hai magar bahtā nahīñ hai
ye duniyā phir numāyāñ ho rahī hai
añdherā umr bhar rahtā nahīñ hai
mirā hamdard hai ā.īna 'nāzim'
maiñ rotā huuñ to ye hañstā nahīñ hai